Wednesday, March 17, 2010

BIDDAT - QABR AUR MAZAAR

Nahmaduhu wa nusalli alaa rusoolil kareem. Amma baad
Dear Brothers and sisters, Assalamualaikum

BIDDAT ek sakht aur bada gunah hai. BIDDAT ka mafhoom ahadees me ye hai "HAR WO AMAL JO QURAN YA SAHIH HADEES SE SAABIT NA HO, WO BIDDAT HAI."

1. Huzur saw ne farmaya: "BIDDATI shakhs ki Namaz, Roza, Haj, Zakat, Jihad yani koi amal ALLAH TAALA qubool nahi karte."
2. Huzur saw: "MARDOOD hai wo shakhs jo mere baad is amr me (yani deen me) koi naee baat paida kar de."

Zara sochiye Dosto ki ye Biddat kitna bada jurm hai jis per itni sakht waeed kari gayi hain. Apna koi bhi Amal karne se pahle ye zaroor dekh le ki wo cheez Quran aur Sahih Hadees se saabit hai ya nahi.
Aaj hum aksar Buzurgo ke Mazaro per dekhte hain ki koi sajda kar raha hai, koi Qawwaliyan kar raha hai, koi chadar chadha raha hai aur koi phool, Yahan tak ki Aurte bhi kasrat se mazaro per jaati hain. Mere bhai ye saari baate BIDDAT hain is se bache.

Huzur saw ne QABRO ki ziyarat karne wali Aurto, qabro per phool chadhane aur Qabro per masjid banane walo per laanat farmayi hai." QABRO per siwae FATIHA padh kar sawaab pahuchane ke aur koi amal jayaz nahi hai.

HANFI maslaq ke andar jo tariqa QABRO ki ziyarat ka aaya hai wo ye hai===== Jab QABR ki ziyarat ka irada kare to 2 rakat namaz nafil padhe. Pahli rakat me Sura Fatiha ke baad Ayat-al-qursi padhe aur doosri rakat me Sura Ikhlaas padhe aur salaam pherne ke baad aur jo kuch padhna ho jaise SURA MULQ, ya Durood sharif padh kar uska sawaab in alfaaz se pahuchaye ki "Ya ALLAH is namaz ka sawaab aur jo duae maine padhi uska sawaab Huzur Muhammad saw ki paak rooh ko pahucha kar mere falaa rishtedaar ki rooh ko pahucha de." Iske baad QABRISTAN jaye aur wahaan joote utar de. Wahan Fatiha padhe is tarah ki aapki peeth Qible ki taraf aur Munh (face) Qabr ki taraf ho. Phir apni peeth QABR ki taraf kare aur munh QIBLE ki taraf aur QABR wale ke liye dua kare. (wallahu aalam)

ALLAH hum sabko sahi amal karne ki tofiq de aur har qism ki BIDDAT se mahfooz rakhe. AAMEEN...!!

Aur maloomat haasil karne k liye hume email kare islamihadees@gmail.com per
wa aakhruddaawaana anilhamdulillahi rabbil aalameen

No comments:

Post a Comment