Friday, March 12, 2010

JUMA KE EHKAAM - JUMA KA DIN MUSALMANO KE LIYE EID HAI..!!

Nahmaduhu wa nusalli alaa rasoolil kareem, amma baad
Dear Friends, Assalamualaikum
Juma ka din hum Musalmano ke liye EID jaisa darja rakhta hai.
Juma ke din ki hui ek neki ka ajr 70 guna badh kar milta hai.
Aur ek burai ka Gunah bhi 70 gunah badh kar milta hai.

1. Juma ko gusal zaroor kare. Huzur saw ne farmaya"Jis shakhs ne JUMA ko (paak hone ke bawjood sirf sawaab ki niyat se) gusal kiya to uske agle pichle sab gunah maaf ho jate hain"
Ek dusri hadees me hain ki "Juma ka Gusal baalo ki jadon me se bhi Gunaho ko bhi nikal phekta hai"
2. Juma ko Kasrat se Durood padhe. Kyunki Juma ko farishto ki ek jamaat sirf isi kaam me hoti hai ki Huzur saw per padha jane wala DUROOD aap ke paas pahuchati hai. Sabse afzal DURROD IBRAHIM hai.
3. JUMA ko SALAAT-ut-TASBEEH ki namaz bhi padhe. Huzur saw ne farmaya ki "Ye namaz jo padhta hai uske agle-pichle, chote-bade, jaan bijh kar kiye hue aur anjane me kiye hue, sabeera aur kabeera, sab Gunah maaf ho jate hain." Aur JUMA ko sab amal ka sawaab 70 guna badh kar milta hai to is ki Fazeelat aur badh jati hai.
4. JUMA ko ASR ki namaz ke baad jo shaks ye DUROOD 80 padhega "ALLAHUMMA SALLI ALAA MUHAMMADIN NABIYIL UMMIYEE WA ALAA AALIHI WASALLIM TASLEEMA" to uske 80 saal ke Gunah maaf honge aur 80 saal ki Ibadat uske aamaal-naame me likhi jaegi.
5. JUMA ko SURA KAHF padhe, Huzur saw ne farmaya "Jo shakhs Juma ko Sura Kahf padhega to agle hafte tak uske saath ek noor rahega jo KAABE tak pahuchta hoga aur agar is dauran DAJJAL nikal aaya to uske fitne se mahfooz rahega" Ek dusri Hadees me hai ki "Jo shakhs JUMA ko SURA KAHF padhega to agle hafte tak ke uske Gunaho ka kaffara ho jaega"

ALLAH hum sab ko tofiq de aur zyada se zyada DEEN ki mehnat karne wala banaye.
agar aap koi query ya question ya deeni ehkaam puchna chate hain to hume email kare islamihadees@gmail.com per
wa aakhirud daawaana alhamdulillahi rabbil aalameen

3 comments:

  1. ASLMKM

    MERE DOST YEH BAHUT ACHI NASI HAT HAI JO LOG NAHI JANTE KE JUMA KI FAZILAT KYA HAI UN KE LIYE SAB SE BAHUT SAHI TARIQA APNE BATAYA HAI

    ReplyDelete
  2. great thanks a lot for sharing very nice information. keep it up !

    ReplyDelete
  3. it's real allaha hamain b tasbee padhne ki toofik de.

    ReplyDelete