Monday, March 22, 2010

MUSALMANO KI MOJUDA PASTI KA ILAAJ

Nahmaduhu wa nusalli alaa rusoolil kareem. Amma baad
Dear Brothers/sisters, Assalamualaikum
Musalmano ki History utha kar dekhe to har tarah ki Izzat aur daulate aur Hukumate Musalmano ke paas rahi hain. Musalmaan izzat aur hukumat ke waaris aur logo ki nazar me pasandida rahe hain. Aaj bhi hamare buzurgo ke mazaro per Musalmano se zyada gair-muslimo ki bheed dekhi ja sakti hai. To phir aakhir aisi kya wajah hui jiski tahat aaj Musalmaan aisi buri halat aur pasti me ghira hua hai? Har tarah ki zillat, mohtaaji, garibi, gandgi, jahalat musalmaano ke ilaaqo aur bastiyon me dekhi ja sakti hain. Aisa kyo ho gaya?

Jis qaum ne logo ko jeene ka tariqa sikhaya wo aaj khud mohtajo ki zindgi guzar rahi hai.

Dosto iski sirf ek hi wajah hai ki humne apne Rab ka hukum man-nna chhod diya. Hamare Rab ne is Ummat ki tareef paise, Daulat aur hukumat ki wajah se nahi kari thi balki hamare Rab ne kaha tha ki " "TUM BEHTARIN UMMAT HO JO LOGO KE LIYE PAIDA KI GAYI HAI. TUM ACHCHE KAAMO KA HUKUM KARTE HO AUR BURAI SE ROKTE HO" Sura Aale Imran: 110
Is aayat per agar gaur kare to wajah sirf aur sirf ye nikalti hai ki humne DAWAT KA azeemushan kaam karna chhod diya aur apne Rab ke hukum ko tod diya jiski wajah se aaj hum museebato me giraftar hain.
1. Dwat dena ALLAH ka hukum hai.
2. Dawat dena har NABI KI SUNNAT hai
3. Daaee ko har ek bol per 1 saal ki Ibadat ka sawab milta hai
4. ALLAH itni madad kisi ki nahi karte jitni madad DAAEE ki karte hain.
5. Dawat ka ek bada faayda ye hai ki kisi aur ko hidayat mile na mile DAAEE ko hidayat zaroor milegi.
6. DAAEE ke badan per ALLAH ke raste me jis jagah dhool aur mitti lag jaaye wahan Dozakh ki aag to kya wahan ka dhuan bhi haram hai.
7. DAAEE jab ALLAH ke raste me zikr karta hai to use 70 guna zyada sawaab milta hai.
8. DAAEE ke bare me ALLAH farmate hain ki "YAHI LOG HAIN JO FALAH PAANE WALE HAIN" Sura ale Imraan: 104

Mere bhaiyo ye to sirf DAAE ke sirf thode se fayde hain, inka poori taur per shumar karna na-mumkin hai. Hume sochna chaiye ki humne aaj deen ke liye kya kiya. IS BAAT KO APNE UPAR ZAROORI KAR LE KI HAR ROZ HUM THODI HI SAHI LEKIN DEEN KI MEHNAT ZAROOR KARE. ALLAH TOFIQ DE AAMEEN..!!

Aur zyada maloomat haasil karne ke liye hume email kare islamihadees@gmail.com per
wa aakhruddaawaana anilhamdulillahi rabbil aalameen

No comments:

Post a Comment