Tuesday, July 27, 2010

SHAB-E-BARAT

Nahmaduhu wa nusalli alaa rusoolihil kareem

Assalamualaikum..!!

Aaj Shab-e-Barat hai aur ye mubarak raat. Islam ke andar do ba-barkat raato me se ek hai. Pahle darje me jis raat ko ALLAH subhanawataala rakhte hai wo hai LAILATUL QADR jiski fazeelat ke baare me ALLAH ne Quran ki Surat, Sura Al-Qadr me farmaya hai.

Doosri raat jo hamare liye bahut ba-barkat aur azmat waali hai, wo hai Shab-e-barat. Jo aaj hai..!! Ye wo raat hai ki har ek neki ko ALLAH taala 70 guna badha kar logo ke aamal naame me likhte hain. Har-har amal ka badla 70 guna zyada milta hai. ALLAH ki rahmate naazil hoti hain.

ALLAH ke nabi Huzur Mohumaad (salallahu alaihi wasallam) ke irshad ka mafhoom hai ki "Shabaan ki 15th raat Ibadat me guzaro aur din Roze me. ALLAH is raat ko sabse nichle aasmaan per aa jate hain aur Aelaan karwate hain ki hai koi Tauba karne wala ki main uski tauba qubool karu? Hai koi maghfirat chahne wala ki main uski maghfirat karu?"

Magar afsos.... haay hamari jahalat... ki logo ne ise tyohar aur Festival bana liya hai. Kal raat se dekh raha hoon ki bachche aur bade patakhe(fireworks) jalane me lage hue hain aur khule taur per beche ja rahe hain, Aaj subah se gharo ki mastooraat (aurte) halwe banane me aur kheer banane me lagi hui hain. Kisi ko koi waasta nahi ki ye raat kis liye hai aur hamare liye kya le kar aayi hai.

Ye raat ibadat ki raat hai, Nawafil padhne ki raat hai, Quran ki tilawat karne ki raat hai, tasbeehat padhte padhte zubaan ko thaka dene ki raat, poori raat jaagte hue aankhe suja lene ki raat hai. Aur yaad rahe ki iska badla bhi ALLAH ke yahan itna hi bada hai. Ek harf jo koi Quran me se padhe to 30 nekiyan milne ka irshad hai. To zara sochiye mere bhaiyo ki kitna bada sawaab kamane ka mauqa hai.

Magar Haai hamari jahalat, haai hamari kam-Ilmi ki hum is raat ko bekar aur tafreeh ke kaamo me guzar dete hain. Din bhar halwe banaye aur khaye, shaam hote hi patakhe jalaye aur phir pair phaila kar so gaye. Koi agar jaag bhi raha hai to Chai wale ki dukan per khada hai ya Cigarette/gutkhe wale ki dukan per mehfil jamaye hue hai.

Mere bhaiyo zara socho in baato se ALLAH ko hamare upar pyar aayega ya Gussa?? ALLAH maghfirat ke faisle farmayega, museebato se nikaalne ke faisle farmayega ya Azaab ke aur gusse ??? ALLAH hidayat dega ya hume hamare aur hamare saath lage hue Shaitan ke hawale kar dega??

Haai hum musalmano ke aamal... Kis kis baat ko roya jaye, kis kis baat ko roya jaye???? Musalman wo the jo bure logo me rahte hue bhi achchai kar gaye or doosro ki bhi zindgiyan sudhar gaye. Magar aaj ka musalman ACHCHE amal me se aur barkat wale kaamo me se bhi burai aur Gunaah kamane ke raaste nikal chuka hai.

Meri aap sab se darkhwast hai ki is raat ko zaaya na hone de.

1. QURAN KI TILAWAT KARE ZYADA SE ZYADA
2. NAFIL NAMAZE PADHE
3. LA-ILAHA ILALLAH aur ASTAGHFAR KASRAT SE PADHE

ALLAH mujhe aur saare musalman bhaiyo aur bahno ko aur tamaam Ummat-e-Muhammadiya ko hidayat de aur hamare Guanaho ko maaf farmaye aur sahi amal karne ki tofiq ata farmaye. Aameen..!!

Allahum-maghfirli wa lil momineena wal mominaat wal muslimeena wal muslimaat

Islami Hadees Group
email: islamihadees@gmail.com
Facebook : islami hadees

wa aakhruddaawaana anilhamdulillahi rabbil aalameen

Friday, July 16, 2010

ISLAM, JAMAAT KE SAATH HAI......!!!

Dear Brothers and Sisters,

Assalamualaikum..!!

ALLAH ke nabi Huzur Mohd. (saw) ne farmaya " ISLAM, Jamaat ke saath hai aur Jamaat, Ameer ke saath hai."

Is hadees ka mafhoom ye hai ki ISLAM yani deen-e-haq to istamaiyat ka aur judao ka aur ek ho jaane ka deen hai. Agar iske andar se Jamaat ko nikal diya to ye sirf afraad rah jaenge jo ki Shaitaan aur duniyawi burai me phas kar tabaah ho jaenge. Jaisa ki aaj kal hume aam taur per dekhne ko mil raha hai.

Aisi Istamaiyat aur Judao agar aaj dekhne ko Milti hai to sirf TABLEEGHI JAMAAT ke andar dekhne ko milti hai. Jab kabhi bhi kisi Jamaat ko kaam ke liye bheja jata hai to logo ko hidayat kar di jaati hai ki AMEER ki baat maane aur AMEER ko hidayat kar di jaati hai ki koi kaam bina apne saathiyon ke mashwire ke na kiya jae.

Agar khana banaya ja raha hai to uska Ameer alag banaya jaata hai, Gasht kari ja rahi hai to uska Ameer alag, Darmiyani baat ka alag, Mulakaton ka alag. Har ek kaam itne acche intezaam ke saath hota hai ki aqal hairan rah jaati hai. Wo log jo ghar me apne Maa-Baap ki nahi mante, Jamaat ke andar aa kar Ameer ki har baat sunte hai aur mante hain. Na jaane kitno ki zindigiyaan sudhar gayi hain.

Mere bhaiyo ALLAH Subhana-wa-taala ka irshad hai ki

"Ae Imaanwalo! ALLAH se daro aur unke saath ho jao, Jo sachche hain (apne kahne aur karne dono me)."

[Quran: Sura Tawbah 9:119]



Meri aap sab se darkhwaast hai ki Tableeghi Jamaat ka zaroor saath de. Dosto aapas me jud jao, ladai band karo, jalan aur hasad se bacho........... Khuda ke waaste ye Imtihaan ka waqt hai. Is waqt me jhagde-fasaad se hal nahi niklega.

Aapas me jud jao....
Ek dusre ka saath do....
Ek dusre ki kamiyan nikalna band karo....
ALLAH se tauba karo....

ALLAH ki zaat se ummed hai ki wo hume bakhsh dega aur hamare halaat ko badal dega.

ALLAH mujhe aur aap sab ko taufeeq de... AMEEN.!

jazaakAllah khair
Islami Hadees Group

ISLAMI HADEES ON FACEBOOK

Dear Brothers and sisters,

Assalamu alaikum..!!

Islami Hadees is now on Facebook. Join our page by clicking the link below.


Make more and more people join this movement. JazakAllah Khair..!!

Islami Hadees Team.