Tuesday, July 27, 2010

SHAB-E-BARAT

Nahmaduhu wa nusalli alaa rusoolihil kareem

Assalamualaikum..!!

Aaj Shab-e-Barat hai aur ye mubarak raat. Islam ke andar do ba-barkat raato me se ek hai. Pahle darje me jis raat ko ALLAH subhanawataala rakhte hai wo hai LAILATUL QADR jiski fazeelat ke baare me ALLAH ne Quran ki Surat, Sura Al-Qadr me farmaya hai.

Doosri raat jo hamare liye bahut ba-barkat aur azmat waali hai, wo hai Shab-e-barat. Jo aaj hai..!! Ye wo raat hai ki har ek neki ko ALLAH taala 70 guna badha kar logo ke aamal naame me likhte hain. Har-har amal ka badla 70 guna zyada milta hai. ALLAH ki rahmate naazil hoti hain.

ALLAH ke nabi Huzur Mohumaad (salallahu alaihi wasallam) ke irshad ka mafhoom hai ki "Shabaan ki 15th raat Ibadat me guzaro aur din Roze me. ALLAH is raat ko sabse nichle aasmaan per aa jate hain aur Aelaan karwate hain ki hai koi Tauba karne wala ki main uski tauba qubool karu? Hai koi maghfirat chahne wala ki main uski maghfirat karu?"

Magar afsos.... haay hamari jahalat... ki logo ne ise tyohar aur Festival bana liya hai. Kal raat se dekh raha hoon ki bachche aur bade patakhe(fireworks) jalane me lage hue hain aur khule taur per beche ja rahe hain, Aaj subah se gharo ki mastooraat (aurte) halwe banane me aur kheer banane me lagi hui hain. Kisi ko koi waasta nahi ki ye raat kis liye hai aur hamare liye kya le kar aayi hai.

Ye raat ibadat ki raat hai, Nawafil padhne ki raat hai, Quran ki tilawat karne ki raat hai, tasbeehat padhte padhte zubaan ko thaka dene ki raat, poori raat jaagte hue aankhe suja lene ki raat hai. Aur yaad rahe ki iska badla bhi ALLAH ke yahan itna hi bada hai. Ek harf jo koi Quran me se padhe to 30 nekiyan milne ka irshad hai. To zara sochiye mere bhaiyo ki kitna bada sawaab kamane ka mauqa hai.

Magar Haai hamari jahalat, haai hamari kam-Ilmi ki hum is raat ko bekar aur tafreeh ke kaamo me guzar dete hain. Din bhar halwe banaye aur khaye, shaam hote hi patakhe jalaye aur phir pair phaila kar so gaye. Koi agar jaag bhi raha hai to Chai wale ki dukan per khada hai ya Cigarette/gutkhe wale ki dukan per mehfil jamaye hue hai.

Mere bhaiyo zara socho in baato se ALLAH ko hamare upar pyar aayega ya Gussa?? ALLAH maghfirat ke faisle farmayega, museebato se nikaalne ke faisle farmayega ya Azaab ke aur gusse ??? ALLAH hidayat dega ya hume hamare aur hamare saath lage hue Shaitan ke hawale kar dega??

Haai hum musalmano ke aamal... Kis kis baat ko roya jaye, kis kis baat ko roya jaye???? Musalman wo the jo bure logo me rahte hue bhi achchai kar gaye or doosro ki bhi zindgiyan sudhar gaye. Magar aaj ka musalman ACHCHE amal me se aur barkat wale kaamo me se bhi burai aur Gunaah kamane ke raaste nikal chuka hai.

Meri aap sab se darkhwast hai ki is raat ko zaaya na hone de.

1. QURAN KI TILAWAT KARE ZYADA SE ZYADA
2. NAFIL NAMAZE PADHE
3. LA-ILAHA ILALLAH aur ASTAGHFAR KASRAT SE PADHE

ALLAH mujhe aur saare musalman bhaiyo aur bahno ko aur tamaam Ummat-e-Muhammadiya ko hidayat de aur hamare Guanaho ko maaf farmaye aur sahi amal karne ki tofiq ata farmaye. Aameen..!!

Allahum-maghfirli wa lil momineena wal mominaat wal muslimeena wal muslimaat

Islami Hadees Group
email: islamihadees@gmail.com
Facebook : islami hadees

wa aakhruddaawaana anilhamdulillahi rabbil aalameen

No comments:

Post a Comment