Saturday, September 11, 2010

FLORIDA CHURCH CANCELLED THE QURAN BURNING

ALHAMDULILLAH

The Florida church has cancelled the Quran burning.

All praises to ALLAH... May ALLAH guides them all to the truth of Islam and guide them to Deen-e-haq. AMEEN..!!

Sunday, August 1, 2010

FLORIDA KA CHURCH QURAN JALA RAHA HAI

Mere musalman bhaiyo aur bahno, Assalamualaikum!

Florida,Miami ka ek Church 11 September ko Quran jalane ja raha hai. Is link ko click kar ke news padhe.


Aakhir ye ho kya raha hai??? Koi bhi samajhdar insan ise support nahi karega. Ye sirf nafrat phailane ki koshish hai aur kuch nahi. Kya ye log ye samajhte hai ki is tarah ki harkato se Muhabbat badhegi, nahi ye to aur dooriyan badha dega, ye to nafrat aur badhaega. Mujhe nahi pata ki kin logo ne pahle 9/11 me unpar hamla kiya tha magar jo harkat ye Church wale kar rahe hain is se to wo apne upar aur zyada hamlo ko dawat de rahe hain.

ALLAH Subhanawataala Quran me kahte hain "Jis din Azaab unke sir ke upar se aur unke paanv ke neeche se dhanke hoga aur Khuda farmaega ki jo jo (bure) kaam tum (dunya me) karte the ab unka maza chakho" [Quran:Sura Anqaboot:55]

Jo bura kaam ye kar rahe hain is se unhe siwai Azaab ke aur kuch haasil nahi hoga.

Main dua karta hoon ki "Ya ALLAH in logo ko hidayat de, inhe aqal de ki ye apni bad-amaaliyon se ruk jaen aur Ya ALLAH agar inke naseeb me hidayat nahi hai to in par azaab nazil farma. Aisa azaab ki saari dunya per waazeh ho jae ki inke is bure amal ke natije me hi ye azaab aaya hai.

Ya ALLAH tu qudrat wala hai teri qudrat ne har cheez ko gher rakha hai, Ya ALLAH apni qudrat ko numaya kar aur har Musalman Mard aur har Musalman aurat aur har musalman bachche ki hifazat farma. Ya ALLAH hum sab musalmano ke gunaho ko maaf farma. Ameen..!!" (wa sal'lal'laahu alaa khairi khalqihi muhammadiu wa aalihi wa as'haabihi ajmaeen bi rahmatika ya arhamar'rahimeen)

Islami Hadees Group
email: islamihadees@gmail.com
Facebook: Islami Hadees

Tuesday, July 27, 2010

SHAB-E-BARAT

Nahmaduhu wa nusalli alaa rusoolihil kareem

Assalamualaikum..!!

Aaj Shab-e-Barat hai aur ye mubarak raat. Islam ke andar do ba-barkat raato me se ek hai. Pahle darje me jis raat ko ALLAH subhanawataala rakhte hai wo hai LAILATUL QADR jiski fazeelat ke baare me ALLAH ne Quran ki Surat, Sura Al-Qadr me farmaya hai.

Doosri raat jo hamare liye bahut ba-barkat aur azmat waali hai, wo hai Shab-e-barat. Jo aaj hai..!! Ye wo raat hai ki har ek neki ko ALLAH taala 70 guna badha kar logo ke aamal naame me likhte hain. Har-har amal ka badla 70 guna zyada milta hai. ALLAH ki rahmate naazil hoti hain.

ALLAH ke nabi Huzur Mohumaad (salallahu alaihi wasallam) ke irshad ka mafhoom hai ki "Shabaan ki 15th raat Ibadat me guzaro aur din Roze me. ALLAH is raat ko sabse nichle aasmaan per aa jate hain aur Aelaan karwate hain ki hai koi Tauba karne wala ki main uski tauba qubool karu? Hai koi maghfirat chahne wala ki main uski maghfirat karu?"

Magar afsos.... haay hamari jahalat... ki logo ne ise tyohar aur Festival bana liya hai. Kal raat se dekh raha hoon ki bachche aur bade patakhe(fireworks) jalane me lage hue hain aur khule taur per beche ja rahe hain, Aaj subah se gharo ki mastooraat (aurte) halwe banane me aur kheer banane me lagi hui hain. Kisi ko koi waasta nahi ki ye raat kis liye hai aur hamare liye kya le kar aayi hai.

Ye raat ibadat ki raat hai, Nawafil padhne ki raat hai, Quran ki tilawat karne ki raat hai, tasbeehat padhte padhte zubaan ko thaka dene ki raat, poori raat jaagte hue aankhe suja lene ki raat hai. Aur yaad rahe ki iska badla bhi ALLAH ke yahan itna hi bada hai. Ek harf jo koi Quran me se padhe to 30 nekiyan milne ka irshad hai. To zara sochiye mere bhaiyo ki kitna bada sawaab kamane ka mauqa hai.

Magar Haai hamari jahalat, haai hamari kam-Ilmi ki hum is raat ko bekar aur tafreeh ke kaamo me guzar dete hain. Din bhar halwe banaye aur khaye, shaam hote hi patakhe jalaye aur phir pair phaila kar so gaye. Koi agar jaag bhi raha hai to Chai wale ki dukan per khada hai ya Cigarette/gutkhe wale ki dukan per mehfil jamaye hue hai.

Mere bhaiyo zara socho in baato se ALLAH ko hamare upar pyar aayega ya Gussa?? ALLAH maghfirat ke faisle farmayega, museebato se nikaalne ke faisle farmayega ya Azaab ke aur gusse ??? ALLAH hidayat dega ya hume hamare aur hamare saath lage hue Shaitan ke hawale kar dega??

Haai hum musalmano ke aamal... Kis kis baat ko roya jaye, kis kis baat ko roya jaye???? Musalman wo the jo bure logo me rahte hue bhi achchai kar gaye or doosro ki bhi zindgiyan sudhar gaye. Magar aaj ka musalman ACHCHE amal me se aur barkat wale kaamo me se bhi burai aur Gunaah kamane ke raaste nikal chuka hai.

Meri aap sab se darkhwast hai ki is raat ko zaaya na hone de.

1. QURAN KI TILAWAT KARE ZYADA SE ZYADA
2. NAFIL NAMAZE PADHE
3. LA-ILAHA ILALLAH aur ASTAGHFAR KASRAT SE PADHE

ALLAH mujhe aur saare musalman bhaiyo aur bahno ko aur tamaam Ummat-e-Muhammadiya ko hidayat de aur hamare Guanaho ko maaf farmaye aur sahi amal karne ki tofiq ata farmaye. Aameen..!!

Allahum-maghfirli wa lil momineena wal mominaat wal muslimeena wal muslimaat

Islami Hadees Group
email: islamihadees@gmail.com
Facebook : islami hadees

wa aakhruddaawaana anilhamdulillahi rabbil aalameen

Friday, July 16, 2010

ISLAM, JAMAAT KE SAATH HAI......!!!

Dear Brothers and Sisters,

Assalamualaikum..!!

ALLAH ke nabi Huzur Mohd. (saw) ne farmaya " ISLAM, Jamaat ke saath hai aur Jamaat, Ameer ke saath hai."

Is hadees ka mafhoom ye hai ki ISLAM yani deen-e-haq to istamaiyat ka aur judao ka aur ek ho jaane ka deen hai. Agar iske andar se Jamaat ko nikal diya to ye sirf afraad rah jaenge jo ki Shaitaan aur duniyawi burai me phas kar tabaah ho jaenge. Jaisa ki aaj kal hume aam taur per dekhne ko mil raha hai.

Aisi Istamaiyat aur Judao agar aaj dekhne ko Milti hai to sirf TABLEEGHI JAMAAT ke andar dekhne ko milti hai. Jab kabhi bhi kisi Jamaat ko kaam ke liye bheja jata hai to logo ko hidayat kar di jaati hai ki AMEER ki baat maane aur AMEER ko hidayat kar di jaati hai ki koi kaam bina apne saathiyon ke mashwire ke na kiya jae.

Agar khana banaya ja raha hai to uska Ameer alag banaya jaata hai, Gasht kari ja rahi hai to uska Ameer alag, Darmiyani baat ka alag, Mulakaton ka alag. Har ek kaam itne acche intezaam ke saath hota hai ki aqal hairan rah jaati hai. Wo log jo ghar me apne Maa-Baap ki nahi mante, Jamaat ke andar aa kar Ameer ki har baat sunte hai aur mante hain. Na jaane kitno ki zindigiyaan sudhar gayi hain.

Mere bhaiyo ALLAH Subhana-wa-taala ka irshad hai ki

"Ae Imaanwalo! ALLAH se daro aur unke saath ho jao, Jo sachche hain (apne kahne aur karne dono me)."

[Quran: Sura Tawbah 9:119]



Meri aap sab se darkhwaast hai ki Tableeghi Jamaat ka zaroor saath de. Dosto aapas me jud jao, ladai band karo, jalan aur hasad se bacho........... Khuda ke waaste ye Imtihaan ka waqt hai. Is waqt me jhagde-fasaad se hal nahi niklega.

Aapas me jud jao....
Ek dusre ka saath do....
Ek dusre ki kamiyan nikalna band karo....
ALLAH se tauba karo....

ALLAH ki zaat se ummed hai ki wo hume bakhsh dega aur hamare halaat ko badal dega.

ALLAH mujhe aur aap sab ko taufeeq de... AMEEN.!

jazaakAllah khair
Islami Hadees Group

ISLAMI HADEES ON FACEBOOK

Dear Brothers and sisters,

Assalamu alaikum..!!

Islami Hadees is now on Facebook. Join our page by clicking the link below.


Make more and more people join this movement. JazakAllah Khair..!!

Islami Hadees Team.

Saturday, April 17, 2010

DUROOD SHARIF

DUROOD SHARIF

DUROOD IBRAHIM : ALLAHUMMA SALLI ALAA MUHAMMADIU WA ALAA AALI MUHAMMADIN KAMA SAL'LAITA ALAA IBRAAHIMA WA ALAA AALI IBRAHIMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED

ALLAHUMMA BAARIK ALAA MUHAMMADIU WA ALAA AALI MUHAMMADIN KAMA BAARAKTA ALAA IBRAAHIMA WA ALAA AALI IBRAHIMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED

DUROOD SHIFA : ALLAHUMMA SALLI ALAA MUHAMMADIU WA ALAA AALI MUHAMMADIN BI ADADI KULLI DAAIN WA DAWAAIN WA ILAATIN WA SHIFAIN WA BAARIK WA SALLIM

DUROOD: ALLAHUMMA SALLI ALAA SAY'YIDNA MUHAMMADIU WA ALAA AALI MUHAMMADIU WASEELATI ILAIKA WA AALIHI WASALLIM

Monday, April 5, 2010

AAIYE HAATH MILAYE AUR EK HO JAYE

Nahmaduhu wa nusalli alaa rusoolil kareem. Amma baad
Dear Brothers/sisters, Assalamualaikum
Dosto is waqt behad zaruri hai ki hum log aapas me jud jaaye aur ek ho jaye. Ittihaad Musalmano ki maujuda waqt ki behad badi zaroorat hai. ALLAH ke nabi Huzur saw ne is itna zaruri bataya ki Madine pahuchne ke baad Muhajiro aur Ansaar ko apas me bhai-bhai qaraar kiya.
Aaj hum dekhte hain ki hamare padosi ki koi bhi haalat ho, kisi bhi museebat me ho lekin hamare upar koi farq nahi padta. Jab padosi ke haq ke bare me Huzur saw ne farmaya : "Jab bhi Jibrael A.s. mere paas aye to mujhe padosi ke haq ki itni taqeed kari ki mujhe gumaan hone laga ki unhe hamara waaris bana denge"
Zara soche dosto ki kitni zaroori cheez hai ye. Koshish kare ki hum apne padosi aur apne musalmaan bhai ke saath me mohabbat ka mamla kare.

Aur zyada maloomat haasil karne ke liye hume email kare islamihadees@gmail.com per
wa aakhruddaawaana anilhamdulillahi rabbil aalameen

Monday, March 22, 2010

MUSALMANO KI MOJUDA PASTI KA ILAAJ

Nahmaduhu wa nusalli alaa rusoolil kareem. Amma baad
Dear Brothers/sisters, Assalamualaikum
Musalmano ki History utha kar dekhe to har tarah ki Izzat aur daulate aur Hukumate Musalmano ke paas rahi hain. Musalmaan izzat aur hukumat ke waaris aur logo ki nazar me pasandida rahe hain. Aaj bhi hamare buzurgo ke mazaro per Musalmano se zyada gair-muslimo ki bheed dekhi ja sakti hai. To phir aakhir aisi kya wajah hui jiski tahat aaj Musalmaan aisi buri halat aur pasti me ghira hua hai? Har tarah ki zillat, mohtaaji, garibi, gandgi, jahalat musalmaano ke ilaaqo aur bastiyon me dekhi ja sakti hain. Aisa kyo ho gaya?

Jis qaum ne logo ko jeene ka tariqa sikhaya wo aaj khud mohtajo ki zindgi guzar rahi hai.

Dosto iski sirf ek hi wajah hai ki humne apne Rab ka hukum man-nna chhod diya. Hamare Rab ne is Ummat ki tareef paise, Daulat aur hukumat ki wajah se nahi kari thi balki hamare Rab ne kaha tha ki " "TUM BEHTARIN UMMAT HO JO LOGO KE LIYE PAIDA KI GAYI HAI. TUM ACHCHE KAAMO KA HUKUM KARTE HO AUR BURAI SE ROKTE HO" Sura Aale Imran: 110
Is aayat per agar gaur kare to wajah sirf aur sirf ye nikalti hai ki humne DAWAT KA azeemushan kaam karna chhod diya aur apne Rab ke hukum ko tod diya jiski wajah se aaj hum museebato me giraftar hain.
1. Dwat dena ALLAH ka hukum hai.
2. Dawat dena har NABI KI SUNNAT hai
3. Daaee ko har ek bol per 1 saal ki Ibadat ka sawab milta hai
4. ALLAH itni madad kisi ki nahi karte jitni madad DAAEE ki karte hain.
5. Dawat ka ek bada faayda ye hai ki kisi aur ko hidayat mile na mile DAAEE ko hidayat zaroor milegi.
6. DAAEE ke badan per ALLAH ke raste me jis jagah dhool aur mitti lag jaaye wahan Dozakh ki aag to kya wahan ka dhuan bhi haram hai.
7. DAAEE jab ALLAH ke raste me zikr karta hai to use 70 guna zyada sawaab milta hai.
8. DAAEE ke bare me ALLAH farmate hain ki "YAHI LOG HAIN JO FALAH PAANE WALE HAIN" Sura ale Imraan: 104

Mere bhaiyo ye to sirf DAAE ke sirf thode se fayde hain, inka poori taur per shumar karna na-mumkin hai. Hume sochna chaiye ki humne aaj deen ke liye kya kiya. IS BAAT KO APNE UPAR ZAROORI KAR LE KI HAR ROZ HUM THODI HI SAHI LEKIN DEEN KI MEHNAT ZAROOR KARE. ALLAH TOFIQ DE AAMEEN..!!

Aur zyada maloomat haasil karne ke liye hume email kare islamihadees@gmail.com per
wa aakhruddaawaana anilhamdulillahi rabbil aalameen

Wednesday, March 17, 2010

BIDDAT - QABR AUR MAZAAR

Nahmaduhu wa nusalli alaa rusoolil kareem. Amma baad
Dear Brothers and sisters, Assalamualaikum

BIDDAT ek sakht aur bada gunah hai. BIDDAT ka mafhoom ahadees me ye hai "HAR WO AMAL JO QURAN YA SAHIH HADEES SE SAABIT NA HO, WO BIDDAT HAI."

1. Huzur saw ne farmaya: "BIDDATI shakhs ki Namaz, Roza, Haj, Zakat, Jihad yani koi amal ALLAH TAALA qubool nahi karte."
2. Huzur saw: "MARDOOD hai wo shakhs jo mere baad is amr me (yani deen me) koi naee baat paida kar de."

Zara sochiye Dosto ki ye Biddat kitna bada jurm hai jis per itni sakht waeed kari gayi hain. Apna koi bhi Amal karne se pahle ye zaroor dekh le ki wo cheez Quran aur Sahih Hadees se saabit hai ya nahi.
Aaj hum aksar Buzurgo ke Mazaro per dekhte hain ki koi sajda kar raha hai, koi Qawwaliyan kar raha hai, koi chadar chadha raha hai aur koi phool, Yahan tak ki Aurte bhi kasrat se mazaro per jaati hain. Mere bhai ye saari baate BIDDAT hain is se bache.

Huzur saw ne QABRO ki ziyarat karne wali Aurto, qabro per phool chadhane aur Qabro per masjid banane walo per laanat farmayi hai." QABRO per siwae FATIHA padh kar sawaab pahuchane ke aur koi amal jayaz nahi hai.

HANFI maslaq ke andar jo tariqa QABRO ki ziyarat ka aaya hai wo ye hai===== Jab QABR ki ziyarat ka irada kare to 2 rakat namaz nafil padhe. Pahli rakat me Sura Fatiha ke baad Ayat-al-qursi padhe aur doosri rakat me Sura Ikhlaas padhe aur salaam pherne ke baad aur jo kuch padhna ho jaise SURA MULQ, ya Durood sharif padh kar uska sawaab in alfaaz se pahuchaye ki "Ya ALLAH is namaz ka sawaab aur jo duae maine padhi uska sawaab Huzur Muhammad saw ki paak rooh ko pahucha kar mere falaa rishtedaar ki rooh ko pahucha de." Iske baad QABRISTAN jaye aur wahaan joote utar de. Wahan Fatiha padhe is tarah ki aapki peeth Qible ki taraf aur Munh (face) Qabr ki taraf ho. Phir apni peeth QABR ki taraf kare aur munh QIBLE ki taraf aur QABR wale ke liye dua kare. (wallahu aalam)

ALLAH hum sabko sahi amal karne ki tofiq de aur har qism ki BIDDAT se mahfooz rakhe. AAMEEN...!!

Aur maloomat haasil karne k liye hume email kare islamihadees@gmail.com per
wa aakhruddaawaana anilhamdulillahi rabbil aalameen

Monday, March 15, 2010

DEEN KI DAWAT DENA FARZ HAI..

Nahmaduhu wa nusalli alaa rusoolil kareem. Amma baad
Dear Brothers and sisters, assalamualaikum

ALLAH Subhanawataala, QURAN me farmate hain ki,
Aur ALLAH k (deen k) liye mehnat kiya karo jaisa mehnat karne ka haq hai. Usne (deen ki mehnat k liye) tumko chun liya hai. SURA HAJ:78
is se maloom chala ki ALLAH ne DEEN ki dawat dene ko hamare upar FARZ kiya hai.

Doosri jagah ALLAH farmate hain "Aap kah dijiye mera rasta to yahi hai ki main poori baseerat ke saath ALLAH ki taraf daawat deta rahu or jo meri pairvi karte hain wo bhi" SURA YUSUF:108 yahan bhi ALLAH ne daawat dena ko ahamtarin bataya.

Aur teesri jagah ALLAH farmate hain "Kasam hai zamane ki, Insan bade nuksan me hai, magar wo (nahi) jo iman laye aur nek amal kiye aur haq (ki dawat di) aur sabr ki taqeed kari. SURA ASR:1-3

Dosto dawat dena bahut zaroori hai, bahut jald hum iske liye koshish shuru karne ja rahe hain. Jiske liye hume aap ke saath ki zaroorat hai.

1. Bahut jald hum direct CHAT sessions shuru karne ja rahe hain. Jisme aap participate kar ke maloomat haasil kar sakte hain.
2. Hume jald hi kuch volunteers ki zaroorat padegi jo hamare saath mil kar kaam kar sake.
Dosto kitna achcha hai ki hum sirf 10-20 minute rozana kharch kar ke ALLAH ki taraf dawat dene wale ban jaye aur is azeemtarin kaam ko karne walo me shumar ho jaye.

Aur maloomat haasil karne k liye hume email kare islamihadees@gmail.com per
wa aakhruddaawaana anilhamdulillahi rabbil aalameen

Saturday, March 13, 2010

ISLAMIC DISCUSSION

Nahmaduhu wa nusalli alaa rusoolil kareem. Amma baad
Dear Friends, Assalamualaikum
Hope you all are finding this blog useful and informative. I would like to know if you need any information or want us to wrtie on some particular topic. Please feel free to mail us on islamihadees@gmail.com awaiting your mails.

1. Very soon we will be organising direct CHAT sessions for our friends and people who want to know ISLAM.
2. We will be needing some volunteers to work with us and spread ISLAM through internet and sms. It will take only 10 minutes of your time in a day.

We hope to take the DAAWAT to the next level and dream of a peaceful/friendly environment. We want to oppose Terrorism and want to spread the image, that ISLAM is a religion of peace and Humanity.
Hope we get a good response from you and May ALLAH help us in this mission. Aameen..!!

Please write to us at islamihadees@gmail.com
wa aakhirud daawaana alhamdulillahi rabbil aalameen

Friday, March 12, 2010

JUMA KE EHKAAM - JUMA KA DIN MUSALMANO KE LIYE EID HAI..!!

Nahmaduhu wa nusalli alaa rasoolil kareem, amma baad
Dear Friends, Assalamualaikum
Juma ka din hum Musalmano ke liye EID jaisa darja rakhta hai.
Juma ke din ki hui ek neki ka ajr 70 guna badh kar milta hai.
Aur ek burai ka Gunah bhi 70 gunah badh kar milta hai.

1. Juma ko gusal zaroor kare. Huzur saw ne farmaya"Jis shakhs ne JUMA ko (paak hone ke bawjood sirf sawaab ki niyat se) gusal kiya to uske agle pichle sab gunah maaf ho jate hain"
Ek dusri hadees me hain ki "Juma ka Gusal baalo ki jadon me se bhi Gunaho ko bhi nikal phekta hai"
2. Juma ko Kasrat se Durood padhe. Kyunki Juma ko farishto ki ek jamaat sirf isi kaam me hoti hai ki Huzur saw per padha jane wala DUROOD aap ke paas pahuchati hai. Sabse afzal DURROD IBRAHIM hai.
3. JUMA ko SALAAT-ut-TASBEEH ki namaz bhi padhe. Huzur saw ne farmaya ki "Ye namaz jo padhta hai uske agle-pichle, chote-bade, jaan bijh kar kiye hue aur anjane me kiye hue, sabeera aur kabeera, sab Gunah maaf ho jate hain." Aur JUMA ko sab amal ka sawaab 70 guna badh kar milta hai to is ki Fazeelat aur badh jati hai.
4. JUMA ko ASR ki namaz ke baad jo shaks ye DUROOD 80 padhega "ALLAHUMMA SALLI ALAA MUHAMMADIN NABIYIL UMMIYEE WA ALAA AALIHI WASALLIM TASLEEMA" to uske 80 saal ke Gunah maaf honge aur 80 saal ki Ibadat uske aamaal-naame me likhi jaegi.
5. JUMA ko SURA KAHF padhe, Huzur saw ne farmaya "Jo shakhs Juma ko Sura Kahf padhega to agle hafte tak uske saath ek noor rahega jo KAABE tak pahuchta hoga aur agar is dauran DAJJAL nikal aaya to uske fitne se mahfooz rahega" Ek dusri Hadees me hai ki "Jo shakhs JUMA ko SURA KAHF padhega to agle hafte tak ke uske Gunaho ka kaffara ho jaega"

ALLAH hum sab ko tofiq de aur zyada se zyada DEEN ki mehnat karne wala banaye.
agar aap koi query ya question ya deeni ehkaam puchna chate hain to hume email kare islamihadees@gmail.com per
wa aakhirud daawaana alhamdulillahi rabbil aalameen

Wednesday, March 10, 2010

GUSAL AUR WUZU KE FARZ

Dear Friends, Assalamualaikum
Hum kitna waqt Internet per guzarte hain, meri darkhwast hai ki sirf 5 minute rozana is blog ko padhe. ALLAH tofiq de aameen..!!
GUSAL aur WUZU paaki hasil karne ka zariya hai. Huzur saw ne farmaya "Paaki aadha Imaan hai" Lekin bade afsos ki baat hai ki akseer Musalman bhaiyo ko iske faraez nahi maloom hai. Paaki ke bina koi Ibadat qubool nahi hai. Naapaak admi kitni hi Ibadat kare uska ajar na milega. Is hi niyat se aaj hum Gusal aur Wuzu ke farz bata rahe hain,
Gusal ke farz:
1. Jahan gandgi lagi ho us jagah ko dhona
2. Kulli karna
3. Naak ki naram haddi tak paani pahuchana
4. Poore badan per itna paani bahana ki ek baal barabar jagah bhi sookhi na rahe

Wuzu ke farz:
1. Poore chehre ko ek baar dhona
2. Ek baar Kohniyon tak haath dhona
3. Tihaai sir ka masah karna
4. Ek baar takhno tak pair dhona

Dosto is tariqe se agar hum gusal aur wuzu karenge to hum Ibadat ke liye paak ho jaenge. Lekin Behtar yahi hai ki hum poori sunnat ke saath gusal aur wuzu kare uska sawaab aur ajr dono bahut badh jate hain. Gusal aur Wuzu ki sunnat ki tafseel ka bahut jald zikr kiya jaega.
Agar aap koi aur maloomat karna chahte hain ya koi masla ya deeni ehkaam maloom karna chahte hain to hume Email kare islamihadees@gmail.com per

Tuesday, March 9, 2010

DIFFERENCE BETWEEN HADEES NABWI AND HADEES QUDSI

Dear Friends, Assalamualaikum..!!
First of all thanks a lot for visiting the BLOG. Jazaakallah Khair..!!

Secondly, we are receiving some confusion from our friends who misunderstand the meaning of HADEES E NABWI and HADEES E QUDSI. We are giving below the meaning for your reference,

HADEES-E-NABWI : are the words said by our Beloved Prophet Huzur Muhammad (saw)
HADEES-E-QUDSI : are the words of ALLAH SUBHANAWATAALA, as told byHuzur Muhammad (saw)

Further the difference of NABI and RASOOL: -
NABI: is the person who invites towards ISLAM after given authority by ALLAH TAALA. As per the Aalims, There have been approximately 1 lakh 24 thousand Nabi in the History of Islam.

Rasool: is the person who is a NABI and also has been given a book and shareeat. There have been 4 Rasool till the time (wallahu aalam).
1. Hazrat Daood As. who got Zaboor
2. Hazrat Moosa As. who got Taurat
3. Hazrat ISA As. who got Injeel
4. Hazrat Muhammad (saw) who got QURAN

Friends if you have any further queries or questions or doubts. Please feel free to write to us at islamihadees@gmail.com

Sunday, March 7, 2010

ALLAH KA HUKUM AUR HAMARI TAARIF QURAN ME

Hum sab log apna kitna waqt Internet per sirf chatting aur games khelne me guzar dete hain. Apna kuch waqt DEEN-E-HAQ phailane me bhi lagaye. Aiye hamare saath haath milaiye aur jud jaiye is koshish me.Agar hum sab log mil kar koshish kare to bahut jald hi hamari koshish rang layegi. Aur INSHA ALLA ho sakta hai ki Hum hazaaro logo ki zindgiyan DEEN-E-HAQ per le aaye.

ALLAH TAALA Quran me farmate hain ki " AUR TUM ME EK JAMAAT AISI HONI CHAHIYE JO LOGO KO NEKI KI TARAF BULAYE AUR ACHCHE KAAMO KA HUKUM KARE AUR BURAI SE ROKE. AUR YAHI LOG HAIN JO FALAH (kaamyabi) PAANE WALE HAIN" Sura Aaale Imran:104

Dosto ALLAH TAALA hamari taarif QURAN SHARIF me karte hain ki "TUM BEHTARIN UMMAT HO JO LOGO KE LIYE PAIDA KI GAYI HAI. TUM ACHCHE KAAMO KA HUKUM KARTE HO AUR BURAI SE ROKTE HO" Sura Aale Imran: 110

To join hands and help us please see below points : -

1. Hum apke views aur suggestions janana chahte hain ki hum kaise is koshish ko aur aage le ja sakte hain ya aap chahte hain ki hum kisi khaas mauzu (topic) per jaankari de to Aap hume email kar sakte hain islamihadees@gmail.com per

2. Hamari team ne kuch polls yahan per publish kiye hain jo ki is page per sbse neeche hain. Barae karam un polls ko fill kare, taki hum jaan sake ki hum kaise aage badh sakte hain.

3. Apne friends, family aur relatives ko hamare FREE SMS group se join karwaye taki unko bhi Quran, hadees aur Deen ki choti-choti maloomaat hoti rahe. Ye ek bahtarin SADQA-E-JARIYA hai aur iska sawaab hamare marne ke baad bhi milta rahega.
Mobile se type kare:
Join IslamiHadees
Aur bheje
09870807070 per

Huzur MUHAMMAD (saw) in PURAN'S OF HINDUISM

I. Muhammad (pbuh) prophesised in Bhavishya PuranaAccording to Bhavishya Purana in the Prati Sarag Parv III Khand 3 Adhay 3 Shloka 5 to 8.
"A malecha (belonging to a foreign country and speaking a foreign language) spiritual teacher will appear with his companions. His name will be Mohammad. Raja (Bhoj) after giving this Maha Dev Arab (of angelic disposition) a bath in the Panchgavya and the Ganga water (i.e. purifying him of all sins) offered him the present of his sincere devotion and showing him all reverence said, "I make obeisance to thee. O ye! The pride of mankind, the dweller in Arabia, Ye have collected a great force to kill the Devil and you yourself have been protected from the malecha opponents."

Friday, March 5, 2010

Daily useful DUA's
Before taking food: BISMILLAH WAALA BARKATILLAH
After taking Food: ALHAMDU'LIL'LA'HILL'LAZI AT'AAMANA WA SAKAANA WA JA'ALNA MINAL MUSLIMEEN
Before Going to Toilet: ALLAHUMMA INNI AOOZUBIKA MINAL KHUBSI WAL KHABAIS
After coming out of toilet: GHUFRAANAKA
Entering Masjid: ALLAHUMMA AFTAHLI ABWAKA RAHMATIKA
Coming out of masjid: ALLAHUMMA INNI AS'ALOOKA MIN FAZLIKA
We all spend a lot of time on Internet doing chatting or playing games. Lets spend some time for spreading DEEN-E-HAQ.

Lets Try to become the kind of MOMIN which ALLAH and RASOOL wants us to be.

Lets learn our religion all over, once again and strive to become a complete MOMIN.

Lets stop fighting over Firqa's and sunni-bareilvi. Lets join hands and spread peace and togetherness. ALLAH SUBHANAWATALA says "O People of the Book! come to common terms as between us and you: that we worship none but Allah" Quran 3.64

Its high time that we stand against the image of ISLAM created by Media that MUSLIMS are TERRORISTS AND EXTREMISTS. Lets show the world that ISLAM IS THE RELIGION OF PEACE.
Come join this group and join hands to help this movement grow.

You can also join our FREE SMS group from your mobile, you'll receive free Islamic Hadees and Messages from Quran
TYPE from your mobile
Join IslamiHadees
and send it to 09870807070