Wednesday, March 10, 2010

GUSAL AUR WUZU KE FARZ

Dear Friends, Assalamualaikum
Hum kitna waqt Internet per guzarte hain, meri darkhwast hai ki sirf 5 minute rozana is blog ko padhe. ALLAH tofiq de aameen..!!
GUSAL aur WUZU paaki hasil karne ka zariya hai. Huzur saw ne farmaya "Paaki aadha Imaan hai" Lekin bade afsos ki baat hai ki akseer Musalman bhaiyo ko iske faraez nahi maloom hai. Paaki ke bina koi Ibadat qubool nahi hai. Naapaak admi kitni hi Ibadat kare uska ajar na milega. Is hi niyat se aaj hum Gusal aur Wuzu ke farz bata rahe hain,
Gusal ke farz:
1. Jahan gandgi lagi ho us jagah ko dhona
2. Kulli karna
3. Naak ki naram haddi tak paani pahuchana
4. Poore badan per itna paani bahana ki ek baal barabar jagah bhi sookhi na rahe

Wuzu ke farz:
1. Poore chehre ko ek baar dhona
2. Ek baar Kohniyon tak haath dhona
3. Tihaai sir ka masah karna
4. Ek baar takhno tak pair dhona

Dosto is tariqe se agar hum gusal aur wuzu karenge to hum Ibadat ke liye paak ho jaenge. Lekin Behtar yahi hai ki hum poori sunnat ke saath gusal aur wuzu kare uska sawaab aur ajr dono bahut badh jate hain. Gusal aur Wuzu ki sunnat ki tafseel ka bahut jald zikr kiya jaega.
Agar aap koi aur maloomat karna chahte hain ya koi masla ya deeni ehkaam maloom karna chahte hain to hume Email kare islamihadees@gmail.com per

No comments:

Post a Comment